Bookmark


At our blog “Express YourSelf !”, I have introduced innovation series with my article “What an idea, Sir-ji”. I will add label / keyword “Innovation” for all the upcoming articles under this series. Today let me introduce one more label / keyword “Bookmark”. The article with Bookmark tag, may change. They are like list, collection of URLs, website address, videos, photos etc. So far the following articles are marked with tag Bbookmark. You – the reader can also contribute add more relevant content to these articles.



So bookmark these links, and keep visiting them for updates.




 

Poems from Bollywood


Today, let me share three nice poems from various bollywood movies. I wish the reader of this blog "Express YourSelf !" will like them. They are from movie 1. Shaarabi, 2. Veer-zara, and 3. Lage Raho Munnabhai. I already shared Breathless lyrics at my blog. Enjoy MAADI !

Sharaabi
 
Kisi pe husna ka gurur, javani ka nasha
Kisi ke dil pe mahobat ki, ravani ka nasha
Kisi ko dekh ke saso se, ubharata hai nasha
Bina piye bhi kai had se, Gujarat hai nasha
Nashe me kaun nahi hai, muje batao jara
Kise hai hosh, mere samane to lavo jara
Nasha hai sab pe, magar rang nashe ka hai juda
Khi khili hue juba pe, hai sabnam ka nasha
Hava pe khushbu ka, badal pe, hai rimzim ka nasha
Kahi surun hai khushiyo ka, kahi gam ka nasha
Nasha Sharab me hota to, nachati bottle
Maikade jumate, paimano me hoti hal-chal
Nasha Sharab me hota to, nachati bottle
Nashe mai kaun nahi hai, muze batao jara
Log kahete hai mai sharabi hu
Tumane bhi shayad, yehi, socha liya hoga….

Veer-Jara


Ek din, jab savere savere,
Surmai se, andher ki chaadar hata ke,
Ek Parabt ke Takiye se,
Suraj ne sar jo uthaya,
To dekha,
Dil ki vadi me, chahat ka mausam aaya
Aur vado ki daliyo par,
Unginat bite lamho ki kaliya,
Mahekane lagi hai
Unkahi unsuni aaraju,
Aadhi soi hui, aadhi jaagi hui,
Aankhe malate huye dekhati hai,
Laher dar laher, Mauj dar mauj,
Baheti hui zindagi
Fir se har pal nai, aur fir bhi vahi,
Ha vahi zindagi
Jis ke daman me, koi mahobat bhi hai
Koi hasart bhi hai
Paas ana bhi hai, dur jana bhi hai
Aur yeh ahesas hai,
Waqt zarane sa bheta huva
Ja raha hai yeh kaheta huva
Dil ki vadi me, chahat ka mausam aaya
Aur vado ki daliyo par,
Unginat bite lamho ki kaliya,
Mahekane lagi hai

Lage Raho Munnabhai


Yeh hai mera aaj ka khayal
Un sab ke liye jo dode ja rahe hai, is shher me,
Shehar ki is daud me daud ke karana kya hai?
Agar yahi jina hai dosto, to fir marana kya hai?
Paheli baris me, train late hone ki fikra hai
Bhul gaye?
Bhigate huve tahelana kya hai?
Serial ke kiradaro ka sara haal hai malum
Par maa kaa haal puchhane ki, furasat kaha hai?
Aap ret pe nange paav tahelate kyo nahi?
Ek so aath hai channel, par dil bahelate kyo nahi?
Internet pe duniya se to touch mai hai
Lekin padosh me kaun raheta hai, janate tak nahi
Mobile, land line sab ki bharam hai,
Lekin zigari dost tak pahuche aise taar kaha hai?
Kab dubate huve suraj ko dekha thaa, yaad hai?
Kab jana tha, shaam ka gujarana kya hai?
To dosto,
Shehar ki is daud me daud ke karana kya hai?
Agar yahi jina hai dosto, to fir marana kya hai? 


And one more interesting poem from Coca Cola advertisement. Have a look http://www.youtube.com/watch?v=X7N9z8sh4sQ&feature=youtu.be


Here are the lyrics 


Umeedon Waali Dhoop, Sunshine Waali Aasha…
Rone Ke Wajah Kam Hai, Hasney Ke Bahaaney Zyaadaa...
Zidd Hai Muskurayengein, Khush Rehane Ka Hai Waadaa...
Umeedon Waali Dhoop, Sunshine Waali Aasha …
Tum Dil Se Agar Poochhoge, Woh Khush Rehnaa Hi Chahein …
Jab Sachey Man Se Maango, Toh Khul Jaate Hai Raahein …
Toh Khul Ke Khushi Lutao, Yeh Kyaa Aadhaa Aadhaa…
Umeedon Waali Dhoop, Sunshine Waali Aasha
Umeedon Waali Dhoop, Sunshine Waali Aashaaaaa...